Chhoona Hai Mujhe
chhoona hai mujhe…
aakaash ki uchaiyon ko
dharti ki gehraiyon ko
barsaat ki ghataaon ko
chhoona hai mujhe…
sagar ki lehron ko
suraj ki kiranon ko
chandrma ki chandni ko
chhoona hai mujhe…
prakrti ke saundarya ko
bahti nadi ki dhara ko
chehakte panchhiyon ki boli ko
chhoona hai mujhe…
pyar ki paribhasha ko
mohabbat ke ahsaas ko
dard-e-dil ki bebasi ko
chhoona hai mujhe…
pyaase man ki chanchalta ko
zindagi ki tanhaiyon ko
saanson mein basi har dhadkan ko
chhoona hai mujhe…
antaratma ki shakti ko
jalte agn ki tapish ko
bujhte deepak ki jyoti ko
chhoona hai mujhe…
takdeer ki berahmi ko
insaan ki naasamjhi ko
ruhoon ki naadani ko
chhoona hai mujhe…
jeevan ke antim manzil ko
anjaan maut ke daayre ko
uparwale ki parchhayi ko
- chhoona hai mujhe !
- Haan, chhoona hai mujhe !
~ Always Aparna
© Aparna Chatterjee 2007
Listen to the Audio Poetry Here .
You need to be a member of Anjuman-Forum to access the above Audio File.
Photo Courtesy : Gautam Dhar (USA)